Bar-haa tujh se kaha tha mujhe Apna na bana,
Ab mujhe chor k duniya main tamasha Na bana,
Ik yahi Gham mere marne k liye kaafi he,
Jesa tu Chahta tha main wesa na bana,
Ik baat aur pate ki main btaon tujh ko,
Aakhirat banti chali jai gi duniya na bana,
Na dhikha pae ga tu khawab meri ankhon k,
Ab bhi kehta hn Musavir mera chehra na bana,
Ye khuda ban k Riayat ni krte " wasi "
Husn walon ko kabi
kaba-o-kibla na bna.....'
0 comments:
Post a Comment
Add Comments