Subscribe For Free Updates!

We'll not spam mate! We promise.

Showing posts with label WASI Shah Poetry. Show all posts
Showing posts with label WASI Shah Poetry. Show all posts

12 July, 2013

WASI Shah Poetry - Har Ik Shab Meri Taza Azab Main Guzri

Har Ik Shab Meri Taza Azab Main Guzri
Tumhare Bad Tumhare Hi Khuwab Main Guzri
Mai Ik Phol Hoon Wo Muj Ko Rakh Ke Bhol Gaya
Tmam Umar Usi Ki Kitab Main Guzri

11 July, 2013

WASI Shah Poetry - Dard ki dil pe hukomat thi kahan that us waqt

Dard ki dil pe hukomat thi kahan that us waqt
jab muje teri zaroora thi kahan tha us waqt
Mout ke sukh main chala aya muje dekhne ko
Zinda rehne ki museebat thi kahan tha us waqt
Dil ke daryaon main ab rait hai sehrayon ki
Jab muje tum se muhabat thi kahan tha us waqt

WASI Shah Poetry - Un kahi baat ko samjo ge to yaad aon ga

Tum meri aankhon ke tewar na bhula pao gay
Un kahi baat ko samjo ge to yaad aon ga

WASI Shah Poetry - Samandar Main Utarta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain

Samandar Main Utarta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gayi Jab Se
Koi Bi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain

WASI Shah Poetry - Mere Chehray Se Mera Dard Na Parh Pao Ge

Mere Chehray Se Mera Dard Na Parh Pao Ge 
Wasi
Meri Aadat Hai Har Baat Pe Muskra Dena

WASI Shah Poetry - Tmam Umar Usi Ki Kitab Main Guzri

Har Ik Shab Meri Taza Azab Main Guzri
Tumhare Bad Tumhare Hi Khuwab Main Guzri
Mai Ik Phol Hoon Wo Muj Ko Rakh Ke Bhol Gaya
Tmam Umar Usi Ki Kitab Main Guzri

WASI Shah Poetry - Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi

Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi

Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsaat Wasi..

WASI Shah Poetry - Aankhen Bheeg Jaati Hain

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain

Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain

Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Tere Kooche Se Ab Mera Ta'alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

WASI Shah Poetry - Tum sirf isharon se mera zikar na karna

Dukh dard k maron se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaron se mera zikar na karna...
Wo zabat na kar payn ge ankhon k samandar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna...
Phoolon ke nasheman me raha hon me sada se !
Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna...
Shaid ye andheray hi mujhe raah dikhaen,
Abb chand sitaron se mera zikar na karna...
Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain,
Afsana nigaron se mera zikar na karna...
Shaid wo mere haal pe be-sakhata ro dain,
Iss bar baharon se mera zikar na karna...
Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar,
Darya ke kinaron se mera zikar na karna...
Wo shakhs mile to use har bat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna..

WASI Shah Poetry - Agar khayal ko tera khayal aa jaye

Jo us ke samne mera yeh haal aa jaye,
To dukh se aur bhi us par jamal aa jaye,

Mera khayal bhi ghunghru pehen ke nachey ga,
Agar khayal ko tera khayal aa jaye,

Har ek shaam naye khawab is pe garrhain ge,
Hamare hath agar teri shaal aa jaye,

Unhi dinon woh mere sath chaye peeta tha,
Kahin se kaash mera pichla saal aa jaye,

Main apne gham ke khazaney kahan chupaon ga,
Agar kahin se koi aur maal aa jaye,

Har aik baar naye dhang se sajayen tujhe,
Hamare hath jo phoolon ki dhaal aa jaye,

Yeh doobta hua suraj theher na jaye Wasi,
Agar woh saamne waqt-e-zawaal aa jaye..

WASI Shah Poetry - mai muhabbat aur tum

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum

WASI Shah Poetry - mohabbat se tumhein dekhtey hain

kon kehta hai shararat se tumein dekhtey hain
jaan e man ham to mohabbat se tumhein dekhtey hain
tum ko maaloom nahi tum ho muqaddas kitney
dekhtey hain to aqeedat se tumhein dekhtey hain
dekh ke tum ko kissi aor ki yad aati hai
ham kissi aor hi nisbat se tumhein dekhtey hain
sath ghairon ke nazar aao to gi kuRhta hai
kya kahein kaisi aziyyat se tumhein dekhtey hain
jhonkni paRti hai ye jaan azaabon mai hamein
kon kehta hai sahoolat se tumhein dekhtey hain
jaaney kya likhtey ho kya sochtey rehtey ho wasi
raat ko jab bhi kabhi chatt se tumhein dekhtey hain

WASI Shah Poetry - Meri CHAHAT Ka Is Tarha Mazaaq Na Bana

Meri CHAHAT  Ka Is Tarha Mazaaq Na Bana,,

Wasi

K Teri Aankhein Hi Taras Jaye Mujhe Dekhne k liye.

WASI Shah Poetry - Main is Liye Bhi Apni Khwahishaat Ko Tarq Kr Deta Hon

Main is Liye Bhi Apni Khwahishaat Ko Tarq Kr Deta Hon 
WASI

Mujhey Aksar Wo Nhi Milta Jo Meri Khwahish Ban Jaye.