Subscribe For Free Updates!

We'll not spam mate! We promise.

21 February, 2013

Poetry SMS - juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai!!

juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai

khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo'n k mera hai usey hona bhi parhta hai

abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza'n aaye tau phir rona bhi parhta hai

mujhey nindain nahee'n bhatee'n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai

hamesha hansta rehta hoo'n chhupa k gham zamaney se''Chahat''
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai!

Socializer Widget By Blogger Yard
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →

0 comments:

Post a Comment

Add Comments